Nabi(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya ki sharab ki sodagari haram karar kardi gayi he.
(sahih-bhukhari vol 2)
Copy Text
Rasool(sallallhu-alehy-wasallam) ne farmaya ki fareeb dozakh me le jaye..
(sahih bhukhari vol2..kitab-ul-bewah)
Copy Text
Muhammad(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya ki raaste se kisi takleef dah cheez ko hatana b ek sadqa hai...
(sahih-bhukhari,kitab-ul-mazloom)
Copy Text
Nabi kareem(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya Allah ta-ala ke nazdeek sab se zyada naa pasandedah aadmi wo he jo jaghdalo ho...
(sahih-bhukhari,kitab-ul-mazloom,hadees#2457)
Copy Text
Hazrat Abu huraira(raziallahu-ta'ala-anhu) bayan krte he ki Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya ki logon par ek aisa zamana aaye ga ki insaan koi parwa na kare ga ki jo iss ne hasil kiya wo haram he ya halaal..
(sahih bhukhari,kitab-ul-bewah,hadees#2059)
Copy Text
Jb Bap ki izat kho jaye,
jb qom ki gerat so jaye,
jb bhai club ko jate ho,
or bhno ka hq khaty ho,
jb maa ki nzren jhuk jaye,
alfaz labon tk ruk jaye,
jb ghr ghr me sur tal chle,
or aurat nange bal chle,
jb rshwat sr chad k bole,
Or tajir jan k km tole,
phr jb ye sb kch hota he,
Rab ghafl he na sota he,
jb uska qahr brasta he,
qaron zameen me dhnasta he,
phr jb wo pakar pe aata he,
firon bhi goty khata he,
ye sb kch ibrat ko he kafi,
aaj mang lo Allah se mafi
Copy Text
Kabhi aye navjawan muslim tadabbur bhi kiya hai tune,vo kya gardon tha jis ka tou ik touta huwa tara,tujhe us koum ne paala hai agosh-e-mohabbat me, kuchal dala tha jis poan me taj sardara...
Allama IQBAL(Rahmatullahi-aleh))
Copy Text
Abu huraira(raziallahu-ta'ala-anhu) ne bayan kiya ki Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya qayamat is waqt tak na aaye gi jab tak ki elim deen na uth jaye ga aur zalzalo ki kasrat na ho jayegi aur zamana jaldi jaldi na guzre ga aur fitna fasaad phoot pade ga aur "haraj" ki kasrat hojaye gi aur "haraj" se murad qatal hai, aur tumhare darmiyan dolat wa maal ki itni kasrat hogi ki ubal pade ga...
(sahih-bhukhari,kitab-ul-istisqaa-hadees#1036)
Copy Text
Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya jo shaks jumma k din ghusul kare aur khoob achi tarah se paaki hasil kare aur tail baalo me istimaal kare ya ghar me jo khusbu mayasar ho istimal kare phir nimaz jumma k liye nikle or masjid me pohanch kar do aadmiyu k darmiyan na ghuse phir jitni ho sake nuful nimaz padhe aur jab imam khutba shuru kare to khamosh sunta rahe to is k is jumma se lekar dosre jumma tak sare gunah maaf kr diye jayenge...
(sahih-bhukhari,kitab-ul-jumma,hadess#883)
Copy Text
Abu Syed Khadri(raziallahu-ta'ala-anhi) se riwayat hai ki me gawah hu ki Rasool(sallallahu-alehy-wasallam) ne farmaya jumma ke din har jawan par ghusul,miswak aur khusbu lagana agar mayasar ho zaroori hai...
(sahih-bhukhari,vol-2,kitab-ul-jumma,hadees#880)
Copy Text